wada sachcha hai ki jhuTa mujhe malum na tha

wada sachcha hai ki jhuta mujhe malum na tha
kal badal jaegi duniya mujhe malum na tha

husn hai mashghala-e-zulm ko gahra parda
pas-e-parda hai andhera mujhe malum na tha

ishq wo shai hai ki charke bhi maza dete hain
warna qatil hain hasin kya mujhe malum na tha

dil ki zid is liye rakh li thi ki aa jae qarar
kal ye kuchh aur kahega mujhe malum na tha

jhuti ummidon ne kya kya na hare bagh lagae
waqt jhonka hai hawa ka mujhe malum na tha

jitne qismat ke sahaare the wo jhute nikle
hai bandhi mutthiyon mein kya mujhe malum na tha

barson bhatka kiya aur phir bhi na un tak pahuncha
ghar to malum tha rasta mujhe malum na tha

raaz-e-gham fash na ho is liye roki thi zaban
chup bhi rah kar yahi hoga mujhe malum na tha

dil maze leta hai jis gham ke wo hai kahish-e-jaan
zahr bhi hota hai mitha mujhe malum na tha

ishq-abaad ke nake hi se rukhsat hue hosh
hai ye diwanon ki duniya mujhe malum na tha

hoga imroz ki surat mein zuhur-e-farda
wada yun roz talega mujhe malum na tha

aarzu han bhi hasinon ki nahin hoti hai
in ki har baat hai dhoka mujhe malum na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close