dahr ko lamha-e-maujud se hat kar dekhen nai subhen nai shamen nae manzar dekhen ghar ki diwaron pe tanhai ne likkhe hain jo gham mere gham-khwar unhen bhi kabhi padh kar dekhen aap hi aap ye sochen koi aaya hoga aur phir aap hi darwaze pe ja kar dekhen kuchh ajab rang se katte hain shab o roz apne log kya kuchh na kahen hum ko jo aa kar dekhen