bal padne laga abru-e-khamdar ke upar aa jae na aafat kahin do-chaar ke upar qatraat-e-araq hain nahin ye silk-e-guhar hain kya aks-fagan us rukh-e-gulnar ke upar khun-rezi pe bandhega kamar jab ki wo saffak gulzar bana dega tan-e-zar ke upar bosa jo talab main ne kiya bole ye aghyar talwar chalegi isi takrar ke upar wada kiya aane ka par aae nahin hargiz kya hoe yaqin aap ke iqrar ke upar khubon ko mohabbat hai buron se bhi ki jun gul rahta hai sada saya-fagan khar ke upar tasir hai taqrir mein us shokh ki itni khamosh huin bulbulen guftar ke upar