dahr mein ek tere siwa kya hai tu nahin hai to phir bhala kya hai sila-e-zauq mai-kashi malum zarf kya shai hai hausla kya hai hashiye apne matn hai un ka mohtasib phir saza jaza kya hai puchhta hun har ek sae se chandni ka ata-pata kya hai un ko hai dawa-e-asihai jo nahin jaante shifa kya hai kis liye gardish-e-mudam mein hain aasmanon ko ye hua kya hai le udegi buland-parwazi dosto saya-e-huma kya hai itni ifraat aisi mahrumi dene wale moamla kya hai sail-e-sham-o-sahar mein bahte hain kya khabar zist kya qaza kya hai hum hi chup ho gae 'tamannai' de raha hai koi sada kya hai