gali ka patthar tha mujh mein aaya bigad aisa main thokaren kha ke ho gaya hun pahad aisa khuda khabar dil mein koi aaseb hai ki is mein koi na aaya gaya pada hai ujad aisa na sar utha pae koi bhaunchaal mujh mein ai waqt main narm mitti hun so mujhe tu latad aisa chahaar jaanib pade hain purze nigah-o-dil ke hamara is ishq ne kiya hai kabad aisa main bhul baitha hun hansna 'fartash' bhul baitha hua hai khushiyon ka band mujh par kiwad aisa