dahr mein koi kaam karta ja apna duniya mein nam karta ja teri mitti milegi mitti mein khak ka ehtiram karta ja aafrinash pe meri boli ajal tu bhi do din qiyam karta ja justuju us ki kar tu yaad us ki umr yunhi tamam karta ja tur par guftugu ho musa se hum se bhi kuchh kalam karta ja tu hisar-e-falak se jald nikal aur bhi tez-gam karta ja zindagi tujh ko hai agar darkar maut ka nosh jam karta ja khaksari ajib neamat hai is se aalam ko ram karta ja surat-e-mehr aab-o-tab ke sath subh ki apni sham karta ja chashm-e-haq mein rahen tere jalwe apna didar aam karta ja maskan-e-khuld ke liye ai 'sabr' kuchh na kuchh intizam karta ja