ahd-e-piri mein hue apne jo sab baal safed

ahd-e-piri mein hue apne jo sab baal safed
hum ye samjhe ki hua nama-e-amal safed

zinat us chehra-e-gul-gun ki hua khal-e-siyah
dakhil-e-aib hai gar jism pe ho khal safed

aae kis dhaj se gul-andam mere matam mein
tan pe poshak siyah hath mein rumal safed

sham se subh hamesha hui ai gesu-e-yar
hoga ek roz yahi dam-e-siyah jal safed

khun bahate hue kuchh rahm nahin aata hai
jism mein apne lahu rakhte hain qattal safed

mah-o-khurshid ne ek din use dekha tha kahin
ek ka zard to hai ek ka ahwal safed

muddaa ye hai mere milne se hai saf jawab
us ne sada mujhe kaghaz kiya irsal safed

aatish-e-gham ne ye ai 'sabr' mujhe phunka hai
rakh mein apni hua ho ke main pamal safed


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close