dahr se miTne ka gham bhi hamein beja hoga

dahr se mitne ka gham bhi hamein beja hoga
hum nahin honge agar kal koi hum sa hoga

dekh is aankh ko sun is ka qasida hum se
phir ye baaten na kabhi aisa tamasha hoga

tu bhi insan hai tu ne bhi mohabbat ki hai
tu mohabbat ke taqazon ko samajhta hoga

mar mita kaun se andaz pe tere dil aaj
us ne sau bar tujhe pahle bhi dekha hoga

aaj tak zehn mein hasrat ka ghubar udta hai
aarzuon ka kabhi qafila guzra hoga

aaj khaliq hai jo har khet ki hariyali ka
yahi qatil kabhi har barg-o-samar ka hoga

aur kya hoga pas-e-parda-e-dil ai 'shaukat'
apni taswir ka ek aur sarapa hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close