but khuda kaba sanam-khana bana sakti hai kya se kya jurat-e-rindana bana sakti hai jism ke khol mein haiwan ko chhupa kar tahzib shahr ke wast mein virana bana sakti hai waqia shart nahin hai ki zaban-e-makhluq baat be-baat bhi afsana bana sakti hai sai se ban nahin sakti hai azal ki bigdi ye teri shan-e-karimana bana sakti hai zehn ki soch pe mabni hai bahisht-o-dozakh aql ye bastiyan rozana bana sakti hai khusrawi apni jagah khub hai lekin dil ko mutmain tab-e-faqirana bana sakti hai kis ko malum tha 'shaukat' ki ab is umr mein bhi ek ladki hamein diwana bana sakti hai