daimi dard ki kahani hai

daimi dard ki kahani hai
kaisi be-dard zindagani hai

jab se shahr-e-sanam se nikle hain
sirf aur sirf la-makani hai

main abhi tak wahi diwana hun
kaifiyat bhi wahi purani hai

kya na hasil hua hamein phir bhi
kyon ye ehsas-e-raigani hai

ishq hota agar lahu hota
par teri aankh mein to pani hai

aa ke khwabon mein laut jate ho
wasl kaisa ye khush-gumani hai

phir bichhadna bhi hai tumhein mujh se
mujh ko aawaz bhi lagani hai

ruk bhi jae to gham nahin hoga
ab ye dhadkan kise sunani hai

koi mazhab nahin hai khatre mein
sab siyasat ki lan-tarani hai

kya hai 'afrang' haisiyat apni
bas-ki yaron ki qadrdani hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close