dair-o-haram hain manzar-e-ain-e-ikhtilaf haq par sada nazar hai meri hin-e-ikhtilaf bairun-e-dar hain surat-o-mani ke parda-dar hain parda-e-khifa mein qawanin-e-ikhtilaf hai barqarar gardish-e-dauran-e-rozgar nairangi-e-khayal hai aain-e-ikhtilaf mamnun-e-rasti hai har ek nuqta-e-nazar madd-e-nazar jahan mein hai tamkin-e-ikhtilaf kya para-ha-e-pairahan-e-uns bakhiya hon jab hon udhed-bun mein majaanin-e-ikhtilaf lazim hamein hai qat-e-nazar madh-o-zam se ab tahsin-e-ittifaq hai nafrin-e-ikhtilaf dildariyan kahan hain wo 'sahir' kabhi jo thin khatir-shikan hain ab to mazamin-e-ikhtilaf