zamane se meri zinda-dili dekhi nahin jati khushi ho dusron ki to khushi dekhi nahin jati ilahi nur se raushan hain rahen us ke bandon ki wo aisi raushni hai jo kabhi dekhi nahin jati mohabbat hi se is duniya mein sare kaam chalte hain kisi se kyon kisi ki dosti dekhi nahin jati gharon ki shan-o-shaukat to gharon ki raushni se hai magar jalte gharon ki raushni dekhi nahin jati agar izzat hi lut jae to jina bojh lagta hai kisi masum ki be-hurmati dekhi nahin jati pila di mast aankhon se bachi na mai jo mina mein ki saqi se meri tishna-labi dekhi nahin jati sambhaalun hosh apne to sambhaalun dil jigar kaise tumhaari muskuraati be-rukhi dekhi nahin jati tabiat is qadar machli ke tauba tod di hum ne karen kya hum se sawan ki jhadi dekhi nahin jati khushi ke jashn mein sadme numayan aise hote hain kisi ghamgin chehre par hansi dekhi nahin jati