dair-o-haram se kaam na ku-e-butan se hai wabasta zindagi tere dard-e-nihan se hai aaghaz-e-dard-e-ishq na puchho kahan se hai ye baat mawara gham-e-sharh-o-bayan se hai kitne maze se ahl-e-fana ki guzar gai jo qaid hai tayyun nam-o-nishan se hai kab se hun gham-nasib-e-mohabbat na puchhiye ye dekhiye ki silsila-e-gham kahan se hai waqif mizaj-e-gul se na rang-e-bahaar se kahne ko to lagaw gul-o-gulsitan se hai duniya hai khud fareb umid is se kya rakhen kuchh aas hai to sirf tere aastan se hai jo aashna ho jalwa-e-sad-rang se tere kya kaam us ko farq bahaar-o-khizan se hai gulchin qafas bahaar khizan barq aandhiyan kitnon ka nam ek mere gulistan se hai jis par haqiqat safar-e-zindagi khuli wo karwan mein rah ke alag karwan se hai so aashiyan chaman mein rahen to raha karen jo ikhtilaf hai wo mere aashiyan se hai rudad-e-zindagi bhi hai apni ajib 'shauq' har shakhs bad-guman meri dastan se hai