zulf-e-dauran hai kahan saya-fagan mere baad muntazir der se hain dar-o-rasan mere baad kis ko dil-bastagi-e-gham ka saliqa saunpun sochta hun ki na mar jae ye fan mere baad main zamane se utha rasm-e-wafa ki surat phirna ubhri kisi mathe pe shikan mere baad mere dam tak to zar-e-gul ki bhi qimat na uthi khak ke mol gai arz-e-chaman mere baad hosh-mandi ki saza de na kisi ko yarab dam-ba-khud pahle se hain ahl-e-watan mere baad bazm-e-hasti hai ki ek bolta sannata hai aa gai waqt ki sanson mein ghutan mere baad raushni-saz-zamana hun to ye aalam hai dekhiye kya ho zamane ka chalan mere baad mil hi jaega koi zarf-o-nazar ka mara dil-shikasta na rahen ranj-o-mehan mere baad waqt ne zehniyaten kitni badal dali hain bijliyan tak hain hawa-khwah-e-chaman mere baad mujh pe hansta hai zamana to koi baat nahin rang laegi mere dil ki jalan mere baad maut bar-haq hai magar 'shauq' ye manzur nahin un ke chehre pe ho sadme ki thakan mere baad