dair-o-kaba ki azmat musallam magar

dair-o-kaba ki azmat musallam magar
mai-kada bhi khuda hi ke ghar sa lage

chand taron ki jo de raha hai khabar
dekhne mein to wo be-khabar sa lage

gumrahi mein bhi diwana-e-dil-figar
manzil-e-hosh ka rahbar sa lage

ye jahan rashk-e-jannat hai kis ke liye
aur kisi ko yahi dard-e-sar sa lage

jhil mein adh-khile phul par chandni
hum ko manzar ye teri nazar sa lage

sham-e-bazm-e-adab tha wo kal tak magar
aaj 'laghar' charagh-e-sahar sa lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close