daKHl har dil mein tera misl-e-suwaida ho gaya

dakhl har dil mein tera misl-e-suwaida ho gaya
al-aman ai zulf-e-alam-gir sauda ho gaya

go pada rahta hun aab-e-ashk mein misl-e-habab
sozish-e-dil se magar sab jism chhaala ho gaya

ai shah-e-khuban tasawwur se tere rukhsar ke
chashm ka parda be-ainihi lal-e-parda ho gaya

farq-e-rindan-o-malaik ab bahut dushwar hai
mai-kada us ke qadam se raushan aisa ho gaya

dana-e-angur akhtar chandni mai mah jam
nasr-e-taer bat qaraba charkh mina ho gaya

sunte hain taib hua us but ke ghar jaane se tu
kya tera 'bimar' patthar ka kaleja ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close