wahi sar hai wahi sauda wahi wahshat hai miyan ab bhi aa jao ki dil ki wahi khalwat hai miyan wusat-e-did simatne hi nahin pati hai chashm-e-ahu se hamein aaj bhi nisbat hai miyan umr jab hijr-e-musalsal ki masafat mein kati ye bhi kat jaegi ek din shab-e-furqat hai miyan ku-e-dildar mein baqi nahin shorida-saran shahr daryuza-gar-e-kucha-e-shohrat hai miyan kyun na hum mauja-e-hairat se lipat kar sowen wasl ab tere liye bhi to mashaqqat hai miyan tum ne kya dekhe nahin shams-o-qamar nezon par jashn-e-zulmat pe ab kaun si hairat hai miyan farq-e-taban hai tera matla-e-khurshid magar tere kakul mein chhupi sham-e-qayamat hai miyan dasht-e-hasti mein bahut aabla-pai hai 'nadim' sarhad-e-marg-e-musalsal to aziyyat hai miyan