dalan mein kabhi kabhi chhat par khada hun main sayon ke intizar mein shab bhar khada hun main kya ho gaya ki baith gai khak bhi meri kya baat hai ki apne hi upar khada hun main phaila hua hai samne sahra-e-be-kanar aankhon mein apni le ke samundar khada hun main sannata mere chaaron taraf hai bichha hua bas dil ki dhadkanon ko pakad kar khada hun main soya hua hai mujh mein koi shakhs aaj raat lagta hai apne jism se bahar khada hun main ek hath mein hai aaina-e-zat-o-kaenat ek hath mein liye hue patthar khada hun main