dam-bhar jo na dekhe tujhe ai rashk-e-pari aankh mizhgan ki zabanon se kare nauhagari aankh jam jae tasawwur jo tere bute se qad ka pathra ke bane saf aqiq-e-shajari aankh le lijiye shishe hain safed ashk nahin hain nam baada-kashi se ki gai shisha-gari aankh jao jo chaman ko to kare farsh-e-rah-e-naz bulbul jigar-o-fakhta dil kabk-e-dari aankh dekha jise bismil kiya taka jise mara us aankh se dariye jo khuda se na dari aankh jumbish udhar us ko hai to gardish idhar is ko abru hai ki shamshir sipar hai ki phiri aankh kya did ke qabil tere kuche ki zamin hai har gam hai naqsh-e-qadam-e-rah-guzri aankh tum jhank rahe ho ye tumhein tak raha hai kyun dida-e-rauzan pe aji tum ne dhari aankh kahti hi teri naf-o-shikam dekh ke bulbul rukhsar-e-gul-e-tar pe hai nargis ki dhari aankh ai mah ye sab chashm-e-falak ke hain ishaare aise to na thi mail-e-be-dad-gari aankh nargis jo gulistan mein hai to dasht mein aahu har rang mein dikhlane lagi jalwagari aankh gad ka kahin wo surma ka dumbaala uthae hai dast-e-mizha mein liye putli ki phiri aankh dekhe wo agar chashm-e-siyah aur ye khat-e-sabz nargis ki siyah aankh ho tuti ki hari aankh