chhanta hai KHak kya tu ghar banane ke liye

chhanta hai khak kya tu ghar banane ke liye
fikr rahne ki na kar aaya hai jaane ke liye

aur ko kya ranj dun rahat uthane ke liye
ek tinke ko na chhedun aashiyane ke liye

barq thi betab mere aashiyane ke liye
abr se bhi peshtar aae jalane ke liye

kaam aai murgh-e-gulshan ke meri kahidgi
le gaya tinka samajh kar aashiyane ke liye

is chaman se gul chale bulbul gareban phad kar
hai junun tinke jo chunne aashiyane ke liye

hum ne kyun mangi thi gulshan mein dua-e-josh-e-gul
ab jagah milti nahin hai aashiyane ke liye

phir wahi hum the wahi tum the mohabbat thi wahi
sulh kar lete agar aankhen ladane ke liye

hun wo gham-dida hanse koi to main rone lagun
kuchh bahana chahiye aansu bahane ke liye

saya pad jae agar zulf-e-daraaz-e-yar ka
phir kahun main bhi tasalsul hai zamane ke liye

hun wo diwana ki ban kar ho wo majnun ki shabih
meri mitti len agar laila banane ke liye

pahunchi hai shane talak kya yar ki zulf-e-rasa
dard kyun paida hua hai mere shane ke liye

jumla-tan hai chashm-e-nargis yar teri did ko
gul hama-tan-gosh hain tere fasane ke liye

yun meri qismat mein tha parwaz karna ya nasib
nochte hain tifl par mere udane ke liye

kaun hoga tere tiron ka nishana mere baad
khak le jaana meri tuda banane ke liye

bazm-e-alam mein khada hun par chala jata hun main
sikh li hai shama se raftar jaane ke liye

kyun dil-e-betab ko dikhlaya khal-e-zer-e-zulf
dam mein machhli nahin aane ki dane ke liye

ho agar sar-gashtagi mein fikr-e-tamir-e-makan
khak uda lae bagula ghar banane ke liye

ab kisi gul-ru ke dil mein kijiye ghar ai 'wazir'
kya chaman mein tinke chuniye aashiyane ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close