dam bhar ki khushi bais-e-azar bhi hogi is rah mein saya hai to diwar bhi hogi sadiyon se jahan jis ke taaqub mein rawan hai wo saat-e-sad-rang giraftar bhi hogi rangon ki rida odh ke is reg-e-rawan par utri hai jo shab wo shab-e-didar bhi hogi kahta hai mere kan mein khushbu ka payami munh-band kali mael-e-guftar bhi hogi sae se lipat jaenge qadmon se ba-har-gam ruswai kuchh apni sar-e-bazar bhi hogi ai shab na kategi tere sine ki syahi ek shokh kiran muft gunahgar bhi hogi sunte hain ki har subh ke hathon mein 'rashid' ab ek zahr mein dubi hui talwar bhi hogi