dam-e-khayal-e-zulf-e-butan se chhuda liya kya baal baal mujh ko khuda ne bacha liya ab us ko rahm aae ye qismat ke hath hai ban jae baat haal to hum ne bana liya sharma ke munh chhupane ka andaz dekhna goya ki us ne aib hamara chhupa liya ya ye ki hum ne tark-e-mohabbat ki than li ya ye hua ki aaj kisi ko mana liya hota hun ek nale pe mein qatl hae hae aawaz de ke apni qaza ko bula liya zalim fareb de ke na le dil gharib ka ek roz kaam aaega tera diya liya rashk-e-raqib ho ki gham-e-duri-e-habib jo waqt par nasib hua hum ne kha liya main kya kahun ke jaan rahi kis azab mein jab us ne mujh ko apni barabar bitha liya jhuta sahi zalil sahi koi kuchh kahe main ne to aaj un ko gale se laga liya puchhi hai dost ban ke mere dil ki aarzu us ne zaban de ke mera muddaa liya le koi shan ki to bas itna kiya karo jis se koi badai suni aazma liya mehman dost ko jo kiya doston ke sath dekha tha jis ko dida-waron ko dikha liya us ki bhi maut sahal ho sakraat se bache jis ne hamari naza mein nam aap ka liya baithe to baat karne na di bazm-e-ghair mein utthe to apne sath hi mujh ko utha liya dil ka hi ek nam hai shayad khayal bhi aisa agar nahin hai to dil us ne kya liya mashuq ko to jalwa-numai zarur hai dekho aziz misr ke so main dikha liya is darja tu ne khasta kiya ai gham-e-firaq hum ko hamari gor ne honton se kha liya samjha safi' ko aap ne jo kuchh ghalat hai ye duniya ka bad-maash zamane ka chaaliya