le chalo mujh ko us aaina-e-rukhsar ke pas khak us zist pe jo yar na ho yar ke pas nargis-e-chashm ka mat rakh dil-e-ranjur khayal yani bimar ko rakhte nahin bimar ke pas sar mera tan se agar dur kiya sar sadqe rakhiyo qatil to mujhe apni hi diwar ke pas chashm-e-mast us ki se aakhir ko hoi hum bhi kharab hai yahi us ki saza baithe jo mai-khwar ke pas yun khayal us ka sar-afraaz kare hai 'maruf' shah qadam-ranja kare jun kasu nadar ke pas