dam-e-khushbu mein giraftar saba hai kab se lafz izhaar ki uljhan mein pada hai kab se ai kadi chup ke dar o baam sajaane wale muntazir koi sar-e-koh-e-nida hai kab se chand bhi meri tarah husn-shanasa nikla us ki diwar pe hairan khada hai kab se baat karta hun to lafzon se mahak aati hai koi anfas ke parde mein chhupa hai kab se shobada-bazi-e-aina-e-ehsas na puchh hairat-e-chashm wahi shokh qaba hai kab se dekhiye khun ki barsat kahan hoti hai shahr par chhai hui surkh ghata hai kab se kor-chashmon ke liye aaina-khana malum warna har zarra tera aks-numa hai kab se khoj mein kis ki bhara shahr laga hai 'amjad' dhundti kis ko sar-e-dasht hawa hai kab se