hasin khwab na de ab yaqin-e-sada de mere wajud ko ya rab naya labaada de gham-e-hayat ko phaila de aasmanon tak dil-e-tabah ko wusat bhi kuchh ziyaada de mujhe qarar na de tu pas-e-ghubar-e-nafas main shah-sawar hun maidan bhi kushada de na chhin mujh se mera zauq-e-khud-nawardi bhi mere qadam ko bhi manzil na de irada de mere rafiqon ko de hausla ki sang uthaen mere khulus ko har sang-e-sad-ifada de mere harifon ke dam-kham mein ho kami to unhen mere ghurur se taufiq-e-istifada de chamak de chand ko thandak hawa ko dil ko umang udas qisse ko phir ek shahzada de ki meri zat bhi jis mein dhuan dhuan ho jae kabhi kabhi mujhe wo sajda be-irada de utar de meri rag rag mein phir se sabz lahu sukut-e-dasht ko phir shorish-e-iada de