dam-e-raftar-e-jaanan ye sada-e-naz aati hai sambhaalen sab dilon ko panw ki aawaz aati hai saba jo pur mera ai baghban lati hai gulshan mein qafas se sath yan tak hasrat parwaz aati hai abhi jao na yaran qafas-e-gulzar ki jaanib zara hum muntazir hain taqat-e-parwaz aati hai asar ye hai ki bulbul jab qafas mein karti hai nala shikast-e-rang-e-gul ki bagh se aawaz aati hai nazar duzdida teri kab nazar aati hai aashiq ko uda jata hai dil aur tir ki aawaz aati hai shikwa-e-husn ye hai jab kabhi tum ja nikalte ho to but-khane se ya-allah ki aawaz aati hai sada di main ne jab aane lagi subh shab-e-waslat samajh kar aa kidhar o tafarqe parwaz aati hai tere bais se jis ne kal hamein di thi bahut iza wahi shab aaj phir ai tala-e-na-saz aati hai hui muddat tere zulfon ke diwane ki sehat ko bigad jata hai shab zanjir ki aawaz aati hai zara kah de koi un se qarib aaya dam-e-akhir ki ulti sans ab to ai mere dam-saz aati hai jawani ke nishan andam se hone lage zahir mubarak ho bahaar ai sard bagh naz aati hai jhukae sar na kyun khamosh baithun hijr-e-jaanan mein ki dil ke tutne ki kan mein aawaz aati hai bhala aaj zinda aah-e-dil aashiq kare paida ki khud wo kah rahe hain dard ki aawaz aati hai 'rashid' ashaar mohmal padh rahe ho jama hain shair khajil hote nahin tum dil ki ye aawaz aati hai