samundar par aa baiThe magar kya

samundar par aa baithe magar kya
nae mulkon mein ban jate hain ghar kya

nae mulkon mein lagta hai naya sab
zamin kya aasman kya aur shajar kya

udhar ke log kya kya sochte hain
idhar baste hain khwabon ke nagar kya

har ek raste pe chal kar sochte hain
ye rasta ja raha hai apne ghar kya

kabhi raste ye hum se puchhte hain
musafir ho rahe hain dar-ba-dar kya

kabhi socha hai mitti ke alawa
hamein kahte hain ye diwar-o-dar kya

yahan apne bahut rahte hain lekin
kisi ko bhi kisi ki hai khabar kya

kise fursat ki in baaton pe soche
mashinon ne kiya hai jaan par kya

mashinon ke ghanere jangalon mein
bhatakti ruh kya us ka safar kya

yahan ke aadmi hain do rukhe kyun
mohazzab ho gae hain jaanwar kya

adhure kaam chhode ja rahe hain
idhar ko aaenge bar-e-digar kya

ye kis ke ashk hain auj-e-falak tak
koi rota raha hai raat bhar kya

chaman mein har taraf aansu hain 'jawed'
teri haalat ki sab ko hai khabar kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close