dam-e-subh aandhiyon ne jinhen rakh diya masal ke wahi nanhe nanhe paude the ghane darakht kal ke nae sathiyon ki dhun mein teri dosti ko chhoda koi tujh sa bhi na paya tere shahar se nikal ke wahi rasm-e-kam-nigahi wahi raat ki siyahi mere shahar ke charagho yahan kya karoge jal ke nae khwab meri manzil tah-e-ab mera sahil tumhein kya milega yaro mere sath sath chal ke sar-e-sham aaj koi mere dil se kah raha hai koi chand bhi to nikle koi jam bhi to chhalke ye jo ghar luta luta hai ye jo dil bujha bujha hai isi dil mein rah gae hain kai aaftab dhal ke ye mushahida hai mera rah-e-zindagi mein 'basir' wahi munh ke bal gira hai jo chala sanbhal sanbhal ke