wahi swad-e-haram hai wahi hain but-khane sunae jate hain unwan badal ke afsane hansi khud apni uda le rahe hain diwane junun ki kaun si manzil hai ye khuda jaane maal-e-shauq se ahl-e-wafa ko kya matlab ba-jabr-e-ishq khinche aa rahe hain parwane wo jaan-sapari-e-parwana dilgudazi-e-shama hain shab ko talkh haqaeq sahar ko afsane ghurur-e-husn-e-nazar se mujhe gira na saka wafa ki kaun si manzil hai ye khuda jaane jabin ke sath 'jamali' ka dil bhi jhukta hai kashish si husn-e-butan mein hai kya khuda jaane