dam-e-sukhan hi tabiat lahu lahu ki jae koi to ho ki teri jis se guftugu ki jae ye nukta katte shajar ne mujhe kya talim ki dukh to milte hain gar khwahish-e-numu ki jae kashida-kar-e-azal tujh ko e'tiraaz to nain kahin kahin se agar zindagi rafu ki jae main ye bhi chahta hun ishq ka na ho ilzam main ye bhi chahta hun teri aarzu ki jae mohabbaton mein tu shajre ka bhi nahin mazkur tu chahta hai ki maslak pe guftugu ki jae meri tarah se ujad kar basaen shahr-e-sukhan jo naql karni hai meri to hu-ba-hu ki jae