kya bataen khud ko kyon barbaad karte rah gae umr bhar ek shakhs ki imdad karte rah gae chand ghazlen likh ke un ko shohraten hasil huin aur hum bas dard ka anuwad karte rah gae raste bilkul ghalat phir bhi unhen manzil mili hum sahi raston ko hi ijad karte rah gae dekhiye mali ne phulon ko masal kar rakh diya aur hum ek fakhta aazad karte rah gae ek chehra jo meri aankhon mein ghar karta raha bas usi chehre ko 'satya' yaad karte rah gae