dam junun ki had-e-intiha pe thahra hai ye mera dil hai abhi ibtida pe thahra hai usi ke lams se aab-o-hawa badalti hai tamam manzar-e-jaan ek ada pe thahra hai kanar-e-kun se pare hai kahin wajud apna ye karwan to ghubar-e-sada pe thahra hai kuchh aur der numaish hai shor-o-shar ki yahan ye ek habab hai mauj-e-fana pe thahra hai shua-e-subh bun-e-gosh mein utarti hai zawal-e-mehr ki dast-e-hina pe thahra hai shab-e-siyah sar-e-khal mein simatti hai sitara tut ke band-e-qaba pe thahra hai nafas nafas mein bhadakti hai dil ki lau 'sarmad' ajab charagh hai ye baam-e-hu pe thahra hai