dam mein hum ko late ho tum dil atka hai aur kahin sher padhane hum se aur mazmun gatha hai aur kahin aankhen zara milana idhar ko kyun ji ye kya baaten hain baat ki hum se uthani lazzat ji ka maza hai aur kahin haq to hai kuchh haal-e-dil apna kahte hain jab tum se hum kan lagae sunte ho par dhyan laga hai aur kahin dekhiyo ye ayyari koi kya kya hum ko lapete mein wo but-e-pur-fan leta hai dil jis ne diya hai aur kahin tok ke us se baat karun to yun wo kahe hai chitwan mein mujh ko na chhedo dhyan aji is waqt mera hai aur kahin hum se zabani milne ko tum kahte ho hum jaante hain dil se par aane jaane ka iqrar kiya hai aur kahin dekh ke hum ko jo kahte ho tum aao baitho baat karo baaten ye sab zahir ki hain uns hua hai aur kahin ab to kuchh hamdard se mere aate ho tum mujh ko nazar tum sa shayad koi pyare tum ko mila hai aur kahin baithe ho mujh pas wa-lekin ghabrane se nikle hai aankh bacha kar uth jaane ka dhyan bandha hai aur kahin zahir mein tum kahte ho mujh ko baitho abhi to jao na ghar mujh ko to malum hai jo paigham gaya hai aur kahin baaten kar ke lagawat ki ye kafir hun gar jhut kahun dil ko mere tum lete ho ji nam-e-khuda hai aur kahin haif hai us ke hone par jo yaad karo tum ghair ko jaan 'jurat' mein jo nahin so aisi baat wo kya hai aur kahin