dar tak ab chhod diya ghar se nikal kar aana ya wo raaton ko sada bhes badal kar aana hamdamo ye koi rona hai ki tufan hai aah dekhiyo chashm se dariya ka ubal kar aana qasd jab jaane ka karta hun main us shokh ke pas tegh-e-abru ye kahe hai ki sambhal kar aana hasil us kuche mein jaane se hamein hai aur kya ulte ghar apne magar khak mein ral kar aana wan se awwal dil-e-be-tab tu kab aata hai aur aana bhi to sau ja pe machal kar aana hamdamo meri sifarish ko to jate ho wale kahin wan ja ke na kuchh aur khalal kar aana dube yun bahr-e-mohabbat mein ki ab jite-ji apna dushwar hai upar ko uchhal kar aana ku-e-qatil mein dam-e-naza koi le jao ja ke us ja hamein uqda hai ye hal kar aana us ka be-wajh nahin hai ye chaman se bahar gul mere samne hathon mein masal kar aana bazm-e-khuban mein agarche koi parchae hazar par tere pas hamein wan se bhi tal kar aana ji chala tan se mere jald ze-rah-e-ashfaq ghar se do chaar qadam aise mein chal kar aana 'jurat' us ki kahun kya tujh se tarah-dari main jaana jab uth ke tab ek rup badal kar aana