dam sadh ke dekhun tujhe jhapkun na palak bhi aankhon mein samo lun tere lahje ki damak bhi ai ishq agar mujh ko tera izn ho mumkin aaghosh mein le lun tere paikar ki mahak bhi ai zikr mere fikr ki taqdir badal de ai nur mere nutq ke kase mein jhalak bhi ai qatra-e-khun mushaf-e-rukhsar pe til bin ai satr-e-tapan kaghaz-e-sada pe dahak bhi dil arz-e-hunar hai to badan arz-e-hunar hai ai mere dil-e-sada mere tan mein dhadak bhi ye rang mere nur mein rakkhe hain usi ne gundhwai thi jis ne meri mitti ki mahak bhi us shahr ki jaanib mere panw nahin uthte is dil se wahi dur karega ye jhijak bhi kya main ne kiya hai ki saza-war-e-ridan hun mujh ko to bahut hai teri kamli ki jhalak bhi