koi meayar-e-mohabbat na raha mere baad har taraf aam hain khasan-e-wafa mere baad silsila un ke sitam ka na raha mere baad badla badla sa hai dastur-e-jafa mere baad kaun pahnega gale mein teri ulfat ki kamand kis ke sar hogi teri zulf-e-dota mere baad hongi qurban tere rukh pe nigahen kis ki chand ho jaega haale se juda mere baad sochta hun ki ba-in aalam-e-betabi-e-dil kaun mangega mohabbat ki dua mere baad dad chahenge meri tarah mita kar kis ko ishwa-o-ghamza-e-andaz-o-ada mere baad thokaren khati phiregi shab-e-yalda-e-firaq khun roegi har ek taza bala mere baad suni suni si hai har mahfil-e-iza-e-talabi jaise duniya mein koi gham na raha mere baad khira ho jati thi jis se nigah-e-sabr-o-qarar un ke lab par wo tabassum na raha mere baad kya khabar thi ki main khud sath na dunga apna gosht ho jaega nakhun se juda mere baad fitrat-e-husn ko hai aise sitam-kash ki talash jo wafa par bhi kare uzr-e-khata mere baad zard kar dega use meri tabahi ka khayal rang laya bhi agar rang-e-hina mere baad un ka diwana to kahlana hai mushkil 'basit' koi diwana agar ban bhi gaya mere baad