dam toDte ek aise bimar ko dekha hai

dam todte ek aise bimar ko dekha hai
ya apni apahij si sarkar ko dekha hai

jab sar se lahu phuta jab shisha-e-dil tuta
patthar liye apne ek tab yar ko dekha hai

tu ne bhi kahan dekha hum jaise qalandar ko
hum ne bhi kahan tere darbar ko dekha hai

andhon ki hifazat mein aiwan-e-siyasat hai
darwaze nahin dekhe diwar ko dekha hai

in surmai aankhon ko unwan-e-ghazal kar ke
khwabon mein bhi khanjar ko talwar ko dekha hai

jab waqt ke dariya ne rukne ka adab sikha
ek raushni dekhi hai raftar ko dekha hai

bikte hue fan dekhe nilam qalam dekhe
ghazlon ki dukan dekhi bazar ko dekha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close