dagar dagar hain bandishen tera nagar kamal hai hain lahr lahr sazishen nadi nadi mein jal hai ye jang bhi ajib hai ki hum hain mubtala-e-jang jo aap ke hain aslahe to apni sirf dhaal hai hai apne qafile ka rahzan hi apna rahnuma jo tum kaho misal hai to hum kahen zawal hai hain manzilen bhi gum-shuda to raste bhi kho gae ye kaisa mod aa gaya qadam qadam muhaal hai ajib ek bahao sa mere wajud mein nihan nazar nazar khamosh hai lahu lahu ubaal hai utho ki dhundni hai phir wo chandni wo raushni ye ruh so gai hai kyon ye jism kyon nidhaal hai