damak uthi hai faza mahtab-e-khwab ke sath dhadak raha hai ye dil kis rabab-e-khwab ke sath hate ghubar jo lau se to meri jot jage jalun main phir se nai aab-o-tab-e-khwab ke sath hai sau adaon se uryan fareb-e-rang-e-ana barahna hoti hai lekin hijab-e-khwab ke sath to kyun saza mein ho tanha gunahgar koi yahan to jite hain sab irtikab-e-khwab ke sath sharar-e-sang se sanglakh ho gae talwe hua na kuchh dil-e-khana-kharab-e-khwab ke sath sulae rakkha hamein bhi fareb-e-manzil ne chale the hum bhi kisi ham-rakab-e-khwab ke sath suragh milta nahin pyas ke safinon ka bhanwar bhi hote hain shayad sarab-e-khwab ke sath haqiqaton ki chatanon pe chal gaya jadu lo wo bhi chalne lagin ab sahab-e-khwab ke sath ajab nahin wahi manzar nazara ban jae dara raha hai ye dar iztirab-e-khwab ke sath daraden rah gain bedariyon ke naqshe par na hum rahe na wo tum inqalab-e-khwab ke sath nigah-e-dida-e-tabir ke hawale 'khalish' hai ye bayaz alag intikhab-e-khwab ke sath