daman-e-arzu ke kinare sameTte

daman-e-arzu ke kinare samette
milta hai kab kisi ko wo sab kuchh jo chahiye

hote hain kuchh sharar bhi chhupe rakh mein kahin
hai dekhne mein sard sambhal kar kurediye

sab raushni ke phul to khilte hi bujh gae
kadwa dhuan ab aankhon se ro ro nikaliye

mushkil-pasand apni tabiat hai kya karen
chun chun ke khar rahon mein khud hum ne dhar diye

milta hai sard-rui se mah tund-khu hai mehr
apne liye kiran koi ab kis se mangiye

hasrat se su-e-dar ye take jaana ta bike
an-thak ke chor aankhon ko ab sone dijiye

qindil mein shagufon ke jalne lagi hawa
raushan hain shakh shakh pe khushbu bhare diye

han mil liye the us se kahin ittifaq se
duniya ne kaise kaise fasane bana liye

'bilqis' lije hosh ke nakhun bahut hua
jazbaat ko shuur ki had de ke rokiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close