na khat likhe na diye un ko tar ab ke baras guzar gai yun hi sari bahaar ab ke baras na soe raat ko ja kar khuli hui chhat par kiye na hum ne sitare shumar ab ke baras guzishta sal bhi dil be-qarar tha lekin ajib tarah ki uljhan hai yar ab ke baras kisi bhi lab pe tabassum ke gul nahin mahke kisi bhi aankh se chhalka na pyar ab ke baras ye rang kyun nahin jachte meri nigahon mein ye phul kyun mujhe lagte hain khar ab ke baras na jaane kis tarah logon ke din guzarte hain kisi ke rukh pe nahin hai nikhaar ab ke baras karoge kaise 'khalish' apni be-kali ka ilaj sharab mein bhi nahin hai khumar ab ke baras