daman hai mera dasht ka daman dusra meri tarah na phade gareban dusra yak-rang hun main us gul-e-rana ke ishq mein bulbul na hun ki dhundun gulsitan dusra tha hi gham-e-firaq mila us mein dard-e-rashk muflis ke ghar mein aaya ye mehman dusra teri haya-e-chashm sa dekha nahin raqib yan ehtiyaj kya hai nigahban dusra uryan-tanon ke sar pe teri khak-e-ku rahe dar-karwan nahin sar-o-saman dusra kije zamir-e-khak ko aadam ki chhan agar us shakl ka ban aawe na insan dusra ju-ul-baqar rakhe ye shaikh-e-shikam-parast ek khwan kha kahe hai kahan khwan dusra sair-e-ajab rakhe hai teri jalwa-gah-e-naz is lutf ka kahan hai khyaban dusra naqd-e-dil us ko dena hai 'hasrat' sawab o farz us zulf sa na hoga pareshan dusra