dekhen tujhe na aawenge hum kahna nahin kar dikhawenge hum ye jaur koi uthawe kab tak uth dar hi se tere jawenge hum ghar se mujhe mat nikal sun rakh jawenge to phir na aawenge hum tu qat-e-nazar to hum se kar dekh nazron se tujhe girawenge hum do din kabhu tere ghar na aawen ghar apne tujhe bulawenge hum ghar us ka to dhund kar ke paya ya-rab use ghar bhi pawenge hum aghmaz kare hai sab samajh kar kya haal use sunawenge hum bose to diye hain tin tu hans hans gali teri kyun na khawenge hum itni bhi paka na meri chhati ai ghair tujhe rijhawenge hum dil wo tujhe puchhe ya na puchhe par yaad teri dilawenge hum tab us ki jafaon ki kisi tarah 'hasrat' ab to na lawenge hum