daman se apne jhad ke sahra-e-gham ki dhul aao chalo na hum bhi chunen sarkhushi ke phul aakhir ko mil saki na bashar ko rah-e-najat yun to har ek daur mein aate rahe rasul daman bacha ke aaiyo mere mazar tak ai jaan-e-nau-bahaar uge hain idhar babul dekha kabhi jo dahr ko shair ki aankh se khallaq-e-kaenat bhi sadiyon raha malul aaega koi jam mai-e-sarkhushi liye ai dil kuchh aur der hindole mein gham ke jhul