uljhan mein hast-o-bud ki yun mubtala hun main khud apna aks hun ki tera aaina hun main mujh ko kiya hai laiq-e-sajda isi liye ajza-e-kaenat mein sab se juda hun main tu ek hai magar hain tere an-ginat majaz har aaine mein tere numayan hua hun main tishna-labi mein zabt ho aur wo bhi us ghadi jab ittifaq se lab-e-dariya khada hun main manind-e-kahkashan ye mitati hai tirgi padh kar kitab-e-ishq ko raushan hua hun main aasudgi ko chhod wo hasil rahi mujhe lekin mohabbaton ko tarasta raha hun main dariya sifat bhi ho ke na sairab kar saka barse bina jo chhat gai aisi ghata hun main dast-e-jafa se jis ke ye wahshat mujhe mili us ko bhi hai gila ki darinda-numa hun main tanhai mein ek aalam-e-imkan basa liya 'adil' yun apne aap mein kuchh dhundhta hun main