daman tahen kiye hue sina ubhaar ke jata hai koi qarz-e-gulistan utar ke phulon ka haar rakh do gale se utar ke din lad gae gulon ke ab aae hain khar ke khamosh ho gaya koi aankhen pasar ke lamhe hue na khatm tere intizar ke wo kya gae ki ruh-e-gulistan nikal gai aai nahin khizan ki gae din bahaar ke har ek gam par ye khabar-dar kiye hain ehsan hain ye mujh pe gham-e-be-shumar ke