sabr kahta hai ki rona kaisa

sabr kahta hai ki rona kaisa
hijr mein jaan ka khona kaisa

ghair ne jhut kaha tha mujh se
yar ka ghar mein na hona kaisa

dard se tir jigar ka khincho
khun mein hath dubona kaisa

hijr ki raat buri hoti hai
aah rukti nahin sona kaisa

ishq mein koi bashar laeq ho
is mein barbaad na hona kaisa

baad marne ke jo tadpa mera dil
shaq hua qabr ka kona kaisa

nam tera hai mere bais se
bahr-e-gham mujh ko dubona kaisa

jal bhi jae to na uf munh se kare
ai shama raaton ko rona kaisa

jo ki ho khak-nashin muddat se
us ko shaffaf bichhauna kaisa

kahta hai zabt ki tum sabir ho
dard ho dil mein to rona kaisa

dil-e-ashiq se numu hota hai
tukhm-e-ulfat tera bona kaisa

ek din jaan meri le fassad
roz nashtar ka chubhona kaisa

ab bhi taklif mujhe dete ho
jao bhi lash pe rona kaisa

kya jawani ne sikhaya hai tumhein
le ke angdaiyan sona kaisa

kuchh kaha main ne wo kahta hai 'shafiq'
dukhda har roz ka rona kaisa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close