dana-e-gham na mahram-e-raaz-e-hayat hum

dana-e-gham na mahram-e-raaz-e-hayat hum
dhadka rahe hain phir bhi dil-e-kaenat hum

han ek nigah-e-lutf ke haqdar the zarur
mana ki the na qabil-e-sad-iltifat hum

bim-e-khizan se kis ko mafar tha magar nasim
karte rahe gulon se nikharne ki baat hum

ai shama dilbari teri mahfil se bar-ha
le kar uthe hain soz-e-gham-e-kaenat hum

dhunda kiye hain rah-e-hawas rah-rawan-e-shauq
dekha kiye hain laghzish-e-pa-e-sabaat hum

un ke ghamon ka hae sahaara na puchhiye
kuchh pa gae hain apne ghamon se najat hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close