dasht-e-ghurbat hai to wo kyun hain KHafa humse bahut

dasht-e-ghurbat hai to wo kyun hain khafa hum se bahut
hum dukhi baithe hain lag chal na saba hum se bahut

kya hai daman mein ba-juz gard-e-mah-o-sal-e-umid
kyun ulajhti hai zamane ki hawa hum se bahut

ab hum izhaar-e-alam karne lage hain sab se
ab uthai nahin jati hai jafa hum se bahut

kaun mausam hai ki patthar se lahu rista hai
khun-baha mange hai ab dil ki sada hum se bahut

dad-e-shorida-sari pae jo sar se guzre
dur bhage hai abas mauj-e-bala hum se bahut

kar to den qissa-e-dauran mein tere gham ka bayan
par lahu mange hai ye fikr-e-rasa hum se bahut

chadhte suraj ke pujari wahi nikle jo 'shahab'
karte the tazkira-e-sidq-o-safa hum se bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close