danaiyan atak gain lafzon ke jal mein itne jawab gum hain mere ek sawal mein dariya bas ek qadam kabhi sahil ki samt aa dekhunga zor kitna hai tere ubaal mein ki ehtiyat lakh magar haal ye hua aana tha jin ko aa hi gae teri chaal mein ji chahta hai tark-e-mohabbat ko bar bar aata hai ek aisa bhi lamha visal mein ab kya usul-e-dasht-nawardi ki baat ho uljhe pade hain panw shikari ke jal mein